Thursday, August 20, 2009

Aise Aao By Farha Abid

.............. .Aise Aao.....................
Aise aao ke hur ik gul hur ik gul ke labo ko chume
Aise aao ke meri rooh ke taro mein jhankar uthe
…chamak uthe khwaab mere …
Dhank chupe shaam saje
Aise aao ki fizao ka bhi raang roop nikhar jaye
…. Sanwaar jaye..dharkan khud mein bikhar jaye
Aise aao ke na waqt ka hosh rahei
Mei bhi pyale mein madhosh rahei
Tukro tukro mein rahun… zulf mein uljhi rahun
Thori thori si jalun…hole hole se girun
Aao mere bhekne se pehle aao
Pehlo aao in taro ke gul hone se
Kum hone  dharkano ke..
Lau meri shamma ke kum hone se
Aao jald ke barish bhi intezaar mein hai
Hur lari uski mae halki phuhaar si hai.
Besabr hai, beqraar .... si hai
By: Farha Abid


[Are you an Alig and interested in submitting your article mail me at amunewsandviews@gmail.com or send a direct message. On Twitter.