Saturday, August 29, 2009

Baqi rasme duniya bhi ada karien By Farha Abid

Choro ke ye ab hum kya karein
Baqi rasme duniya bhi ada karien
Sochtein hain ja ke bhi kahan jaienge
Khoye khoye se tere paas chalie aaienge
Hum ajnabee bun ke ab mila karien
..........................Baqi rasme duniya bhi ada karien
Qraar  aata nahi kisi baat se
Hatheliyoun ki tapish lagi tere haat se
Kahin dil dara na kuch gunah karien
........................Baqi rasme duniya bhi ada karien
Misle paani ke badlein harraratein
Beeghi beeghi se masoom shraratein
Younhi khwaab ki tarah mila karien
……………Baqi rasme duniya bhi ada karien
Paas tere rahe kuch pul wisaal ke
Halke halke se mei ki manind undaal ke
Nigahoon se nigahoon ko diya karien
…………….Baqi rasme duniya bhi ada karien
Kuch raste kuch door chul ke badal jaienge
Waqt ki door mein hum dono ulajh jaienge
Jitney roz buss mein hai jeeya karien
…………….Baqi rasme duniya bhi ada karien